Atmsamman

Sannisen27
True Story
0 out of 5 (0 )

Namskar ,

Aaj ek chhote se parivar ki suruvat ho rhi hai nanhi si kilkari gunj rahi thi kisi parivar me , khusiyo ka mahul sa chha gya tha mano jaise ki hajaro surj ek sath chamak rahe the sabki ankho me . Har koi khusiya mana raha tha kuchh samay bita maa baap ke sath vo chhoti si bachchi ghar aayi or sabki ki khusiyo ka ek jariya ban gyi . Nanhi se bachchi ki andaja bhi nhi tha ki uske pass ek bahut badi musivat aayegi ya uski jeevan ka mano jaise ant hi ho jayega .

Uske pita ko TB ho gya or vo beemar rahne lage , beemari dheeme dheeme badhne lagi or pita ko apne bachcho or bibi ki chinta satane lagi , aaj vo pita aspatal jata hai or dr. se kahta hai ki kaise bhi use dheek kar diya jaye abhi to zindgi shuru huyi hai or khatm hone jaa rhi hai , Dr. ne dilasha dilaya ki himmat mat haro sab achha hoga hm ilaj karne ki pur kosis karenge , lekin dr. bhi majbur the kyunki us samay jis beemari ka nam tak log nhi jante the ilaj to bahut dur ki bat thi .

Parivar ka koi sahyog nhi mila ab vo pita or bhi chintit rahne lagag parivar or bachcho ki chinta me manoi ki jaise pani feka hua mitti ka dhela jaise dheeme dheeme ghurta chala jata jata hai vaise hi halat aaj us pita ki thi .

Jaise jaise vakt beet rha tha vaise vaise us pita ki chintayen or beemari use nigalti chali jaa rhi thi jise uski patni bhali bhati samajh rhi thi or ek din vo bhi apne pati ki aise halat ko dekh kar bahut chinta karne lagi or vo bhi beemar hone lagi sayad use bhi usi maraj ne jakad lia ho jaise .

ab vakt nikal rha tha rojgar koi nhi tha paiso tangi hone lagi , parivar balo ne koi dhyan nhi diya usi beech itni kathin paristthiyon ke beech vo chhoti si munni bhi rah rhi thi use to kuchh malum hi nhi tha ki uske maa baap kin paristthiyo se gujar rhe the .

Pita ke bhai us munni ke chacha tau hmesa unse dur dur rahte the ..

Parstthiyan itni kharab ho gyi ki roti ke liye bhi mano taras rahe the . Parivar balo se jab bahar ke kuchh logo ne kaha ki aap sab ek parivar ka hissa hai to unka dhayan rakhna aapki jimmedari bhi hai to ghar ke sabhi logo ne thoda socha .

Us pita ki maa jinka us ghar pr raj chalta hai us Maa ne ab socha ki unka beta bahut beemar hai to uski khane pine ki vyavstha ki jani chahiye .

Ab vo maa or unke sath samast parivar bale bhi ek sath ghar me rahte the jo sabhi sath to the lekin Munni ke maata pita ke sath nhi kyunki unko dar tha kahi ye beemari unko bhi na hoi jaye .

Munni bahut chhoti thi maa baap koi sahi se dekha bhi nhi tha abhi usne vo un mata pita ke jeene ki ummed bani huyi thi . Uske maata pita ko kabhi khana milta to kabhi nhi milta or khana milta tha to pani ki tarah dal or bhusi(rotiyo ki chalni se chhanne par jo niklta hai) se bani rotiya di jati thi .

lekin uske maa baap vo bhi kha lete the kya karte bhuka pet kya karta . Life me sab khatm sa ho gya tha unke ab jaise . Maa or baap ki halat najuk hoti jaa rhi thi usi beech munni ke pita ka dehant ho gaya .

Ab mano jaise uski maa ke jeevan me kuchh bacha hi na ho sab khatm ho gya tha ab vo ek dam tut gyi thi ek aurat ke sar uska suhag chhin gaya tha . Vo bahut dukhi ho gyi lekin apni beti ke liye majbut hone ka dikhava karti rahi . kya karti vo bhi uski munni ke sar baap ka saya chhin gaya tha .

Ab unke parivar balo ne unka kriyakaram karaya or terhavi ka intejar kiya . Ab munni ki maa ke mayke balo ka ana bhi hua unhone dekha ki unki beti or unki behan itne bure hal me hai to unka dil mano baith hi gaya tha .

Unhone kaha bhi chalo terahvi hone ke baad hamare sath chalna bahi rahna hm sab tumhari dekh rekh karenge or munni ki dekh bhal bhi karenge .

Munni ki maa ne us samay koi jabab nhi diya , or ab terahvi huyi sabhi ka aana jana hua fir sabne bahut samjhaya or ghar balo se kaha ki beti hai uska bhi khayal rakhna munni ki dadi se bhi kaha ki ab sari jimmedari aapki hai inka khayal rakhna .

Munni ke nanihal se uske Nana or mama lene aaye lekin munni ki maa ne mana kar diya kyunki unka samman mayke me rahne se nhi badhta sasural me rahne se badhta hai aisa kah kar unhone unhe mana kar ke bhej diya .

Ab munni ki maa bahut akeli padh gyi munni ke bhavishya ki chinta satane lagi or beemar hoti chali gyi . Koi khana bhi nhi deta tha ghar ka sara kam karti thi fir bhi unski sas unko tana deti rahti .Ab " Atmsamman ki bhavna bhi khatm ho chuki unke man se kyunki agar Atmsamman ko banati to munni ko kaha le jati kaise uski parvarish hoti .

Dheeme dheeme vo itni beemar ho gyi ki unka bachna muskil ho gya munni ki chinta us maa ko khaye jaa rhi thi or ek din munni ki maa ka dehant bhi ho gya.

Ab munni anath ho gyi thi uska koi nhi tha ab uske mama aaye unhone dekha sab kuchh or munni ko lekar chale gye . Munni ne abhi tak apne maa baap ko sahi se dekha bhi nhi tha ki anath ho gyi thi vo .

Mama jab lekar aaye uski bahut dekh bhal ki har pal munni ke nana nani , mama mami uska khayal rakhte . Tabhi munni ki mousi baha aayi jinke Do ladke the unko ladki ki kami mehsus hoti thi to vo munni ko apne sath ghar le aaye ab munni achhe ghar me thi sab achha tha munni ke mausa Fauji the or munni ke ko ab do bhai mil gye the .

Jo munni ki bahut dekh rekh karte the hmesa uska khayal rakhte huye use hasate khilate lad pyar dete . Ab lag rha tha ki munni ka bhavisya achha chalta rahega ab munni badi hone lagi or jab chalne firne ke kabil ho chali thi .

Munni jaise jaise badi ho rhi sab bahut khus the munni ke teen mama char mausiyan thi .

Munni ke mama munni ko bahut pyar karte the usko palko pr bitha kar rakhte the . Munni badi huyi ghar ka sara kam karne layak ho gyi to apni mausi ka hath batati hmesa or bhai ko bhi bahut pyar karti thi .

Bhai behan apas me ladte jhagadte or manate rulate munni ki zindgi mano khusiyo se bhar kar chal padi thi .

Munni school bhi jati or ghar ka sara kam bhi sambhalne lagi thi mausi mausa uski bahut dekh rekh karte the . Munni ke mausa usko bahut pyar karte hmesa uska dhyan rakhte uski pasand ka sab usko dilate kisi chij ki kami nhi hone dete the .

Ab jab munni ki schooli padhayi age badhne lagi to sabne uski padhayi rok di bole kya karogi jyada padh likh kar . Ab munni ne apna man mar kar haa kar diya lekin kahi na kahi uske atmsamman ko desh pahuchi ki aaj uske maa baap hote to sayad aisa na hota .

Munni ke liye ek rishta dekha gaya munni ko laga chalo maa baap ka sath nhi mila to sas sasur age jeevan me maa baap bankar hamesa sath rahenge hi .

Munni se kisi ne nhi puchha ki ladka pasand hai ya nhi uska rishta tay kar diya gaya or ab jald hi munni ki sadi kar di gyi . Munni ab sadi karke sasural chali gyi. Baha munni ki sabne kafi tarif ki uski sundarta ko khub saraha .

Munni ki jeth jethani bhi thi jinko ye sadi manjur nhi thi kyunki vo hmesa se chahte the ki unke devar ki sadi kabhi na ho .

munni ke sas sasur thik the lekin sadi ke kuchh din bad se sabne apna rang dikhana suru kar diya . Munni mayke se jo bhi layi uski jethani ko de diya gaya .

Sas sasur ne kaha vo badi uska hak pahle hai munni ne fir bhi kuchh nhi kaha , Bin maa baap ki ladki jisko jaha jisne jaise chaha vaise apne hisab se chalaya.

Munni apne sasural me kuchh nhi kahti kisi se uske pati us par jyada dhyan nhi dete the . Ab munni ek din apne kamre me soyi huyi thi to uski jethani ne uske kamre me mitti ka tel or machis rakh diya .

Or baha jakar sor macha diya ki munni aag laga kar marna chahti ho munni sor sunkar jag kar bahar nikli to log munni ko ghur rhe the munni se tarah tarah ke sabal kar rhe the munni achanak se chauk gyi or sochne lagi ye kab or kaise hua .

Munni samajh gyi ki usko badnam karne ki kosis ki jaa rhi hai jisse sab usse nafrat karne lage or usko ghar se nikal de .

Munni ab paresan thi usne apne pati ko batane ki bahut kosis ki lekin uski koi bat nhi mani ulta munni ko hi char baten suna diya .

Munni apne atmsamman ko na bacha saki or munni ka atmsamman mar sa gya . Ab munni garvvati huyi to uska khayal rakhne bala koi bhi nhi tha us ghar me bhi uske pati uska khayal nhi rakhte vo bekhar me hoti to koi dava dene bala nhi hota vo kamjor hoti chali gyi usi bieech delivery ka samay aa gya .

Ab doctron ne mana kar diya ki khun nhi hai to bahut muskil hoga lekin munni ne himmat nhi hari . Or munni ne bachche ek bachche ko janm diya .

munni ab bahut beemar ho gyi uski dekh rekh kisi ne ki ho nhi ab bahut beemar rahne lagi uska ladka bhi beemar ho gya bahut .

Munni ke mama ne jab ye dekha to kuchh din ke liye ghar laye or dekh rekh kari maa bete ki .

or jab thode sahi ho gye to munni bapas chali gyi . Sasural me jaise koi ab uska tha hi nhi pati bhi sath nhi deta tha .

Akeli munni ne ab nischit kiya ki vo us gav me nhi rahegi apne bachche ka bhavishya sehar me banayegi jaise usne jeevan bitaya uska bachcha nhi bitayega .

ab vo shahar me apne mausa ke ghar aa gyi bahi rahne lagi uska sara jevar or saman sab sasural balo ne rakh liya . Ab munni ke pass kuchh nhi tha jisse vo apne bachche ko pani bhi pila pati .

Munni ka pati kuchh dino bad baha aaya or sath rahne laga lekin ghar me kuchh khane ko nahi tha kachcha aata khaya kyunki pakane ko kuchh nhi tha fir dheeme dheeme uske naukri karna shuru kar diya , or parivar ko dekhne laga lekin munni ne kabhi kisi se madad nhi mangi kyunki vo bahut majbut thi or atmsamman ke sath jeena chahti thi .

Ab dheeme dheem unko mehnat kiya or parivar ke sath shahar me ghar banaya or sari khusio ke sath jeena suru kia .

Munni ke sangharsh or atmsamman ki bajah se aaj mai tarakki kar paya or .

Aaj unka atmsamman hi mera atmsamman hai .

Atmsamman khona maut ke saman hota hai lekin atmsamman kabhi kabhi majburiyo me fas kar sirf man me hi rah jata hai .

तुम्हाला आवडतील अशा कथा

X
Please Wait ...