Mrutunjai ( pralayankar Ruddra )kavya hai Bhagwan Shiv ka aadi kaal ka ek aisha swaroop jo Pruthvi par jeevan ki utpatti ke liye pratham purush ke roop mein avatarit hota hai. Dharati par prakruti purush ka pratham milan hota hai aur tab dharti par janam leti hain enek mahan gathayen tatha Ruddra ke pratishodh swaroop Dharati se Daynasoron ka vinash ho jata hai, Ganga avataran Dev tatha Ashuron ke yuddh men Shiv ka netrutva, Shiv dwara parmanu astron ke nirastikaran ke liye shur Ashur ko majboor karana tatha Shiv ka vishpaan aadi enek ghatnayen jo pathakon ko danto tale ungali dabane ke liye majboor kar degi.