Share this book with your friends

Kuch Bheegi Si Nazmein Jaha Jazbaaton ka shor saavan bankar barsega

Author Name: Devesh R. Valecha | Format: Paperback | Genre : Poetry | Other Details

Dil aksar tootta hai
Mohobbat adhoori reh jaati hai
Waqt aur rooh ki manzilein alag ho jaati hai

Par safar yaha rukta nahi
Kyunki Safar hi toh hume chalna sikhata hai

Humme toh uski galiyon me chalne ka bas jazba chaiye
Humme todkar aur khoobsurat banane ki dariya-dilli toh aksar wo karta haiToh bas..Mere safar ko jaaniye zaroor
Meri galiyon me bhi aaiye huzoor
Kya pata, agar kai modd aapko pehchane se lage
Samajh lena, aapko yaha lana tha hi zindagi ka fitoor

Read More...
Paperback
Paperback 150

Inclusive of all taxes

Delivery

Item is available at

Enter pincode for exact delivery dates

Also Available On

Devesh R. Valecha

Main Mumbai ki bheed me pala-bada ek shaqs hu. Mere likhne ki shuruwat
High School se huyi aur tab se main iski mohobbat mein kho chuka hu.
Isme doobe rehne ka apna hi maza hai, akhir aisi mohobbat itni aasaani se
kaha milti hai!
Main Electronics Engineer hu aur aaj ke darmiyaan IT sector mein ek
Business Analyst ki jimmedari sambhal raha hu
Mujhe mera kaam se bhi ishq hai aur mere safar ke inn do dilchasp
pehluon me aage badhne ka har kadam main le raha hu
Likhne ki aarzoo aur aakaar aur bhi gehra ho jaata hai jab aap kudrat ke
beech hote ho. Islye aksar main anjaan raaston pe nikal padta hu aur
andar baithe khuda ko paane ki saajish me lag jaata hu.
Mera rab mujhpe bahot meherbaan hai jo usne mujhe apne andar ke
toofanon ko sunna sikhaya. Iske liye main mere rab - Waheguru ko apna
sab kuch maanta hu.

Read More...

Achievements

+2 more
View All