Social Short Stories

Make your stories go viral. Publish your short stories on Notion Press and get votes and feedback from real readers.

Sweet crime

by Mantosh kumar   

8 baje the. Aaj lukhnow sataion par bahut bhir tha , kiyon ki aj bank ka exam tha. Dur daraj ke student bank ka exam dene aye hue the. Karan nam ka ek larka bhi un larko ek larka tha jo bank ka exam dene aya hua tha.Baise to sabhi larke exam dene hi aya hua tha lekin karan ka alag khasiyat tha ki vo apna exam dene nahi aya tha balki kisi aur ka exam dene gaya hua tha. Karan dekhne gora tha bal lambe lambe.chehra smart anlkhon par chasma jo sunhari frem ka tha .pairo me mahge jute hat me ghari lagbag 6 feet height ka tha vo. Uske sath ek larka aur tha Amit kumar jo dekhne me simple sa lag raha tha . Dono log station se bahar nikle aur auto baith gaye aur apne center ki tarf chal pare.

Center par kafi bhir tha ,sabhi larke apne apne saman check kar rahe the jaise kalam ,pencil, photo adi. Karan amit ka admit card le liya aur us par amit ka phto chipka diya tatha amit ka address yad kar liya ,Amit karan ko apna pan card de diya taki hall me use id dikhane me koi paresani na ho ,Karan ye sara saman le kar exam center me chala gaya .Main gate sab ka photo aur admitcard check ho raha tha karan ka admit card check hua kara collage me chala gaya. Class room me bhi admitcard check hua lekin waha bhi karan nahi pakra gaya .Answersheet bat gaya Shabhi log answer seet fillup kar rahe. Kran bhi apna answer seet fill up kar liya. karan ke pass jab atendece banane bal invisrator aya to use khuchh sak hua lekin kuchh nahi bola aur chala gaya. Khair exam khatm hua kara center se bahar a gaya aur usne Amit se 50 thousand rupye liye.Exam result aa gaya amit ka selection ho gaya aur use bank me job mil gaya. Is parakar ek ayogya larka bank ka clerck ban gaya .

Is prakar ki ghatna roj hoti hai lekin hum use dekhte nahi nahi bali usse baraba dete hai,isme sabse jayada to hame des ka nuksan hota hai kiyoki ek ayogya larka ek jimedar pad par bith jata hai au r crupption ka barva deta ;vo crupption ko barava is liye dete ki vo is job ko paise de dekar paya hai aur vo paisa aam public se basulna chhahta aur basulta hai,Is sab ka jimmedar hai hum , hamre mata pita , hamre pariwar wale jo ise barawa de rahe hai ,Aur usse bhi kjaya jimmedar hamara kanun jao hme yesa karne par majboor karta hai ,Hum us larke koa koi galti nahi denge jo is kam ko kar raha hai balki uski kahenge jo usse karwa raha hai, kiyon ki uss larke ki mazburi thi tabhi to wo apna pura carrer dao pra rakhkar ,apne paribar ka sapna dao pa rekhkar, apni yogat ka upyog kisi dusre ke liye kar raha hai,uski mazburi hai yesa karn ka kiyon samaz usse yesa kare par mazboor kar raha hai ,jaie agar kutte ke same haddi rakh di jaye jo kutta usse khane ko mazboor ho jata hai Usi prakar wo larka bhi yesa karne ko mazboor ho jata hai.Hum kehte hai ki chori ,khun, rape, adi crime hai jo hamare des ko barbad kar hai par is crime ko kiya nam dene jo AIDS ki bhati hamare immune system ko hi khatam kar raha hai,jiseke paihlne par hum uska ilaiz nahi kara sakte.So please stop the sweet crime and save our indai and young genration.


Like this Story?


Recommend it as 'Must Read'


Reads: 1721




  



Copyright Mantosh kumar