Book likhne ke liye har kissi ka apna alag incident kaho yaad kaho ya experience hota hai. Kabi kabi zindagi hame vo pal jeene ke liye machboor kar deti hai jiske Lamhe se bhi ham guzarna nahi chahte. Meri kahani bhi kuch aisa hi ajeeb kissa ban gayi jo kissi aur ka aks bayaan karti thi. Me ye sachi aur an kahi kahani un logu ko dedicate karti hu jo apni mohobat ko pa ke bhi usse jee na sakhe apna bana na sakhe...